Moral StoriesStory

Dil Ko Rula Dene Wali Kahani

Dil Ko Rula Dene Wali Kahani – Ek bar jaroor padhe…..

Ek ladka aur ladki jo ek dusre ko bahut pyar karte the but kisi reason se ladki ki sadi kahi aur ho jati hai..

wo ladki kahti hai…

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha…
Woh bikhri zulfein woh maila kuchaila libas…
woh dhaka chehra dekh kar Dil mera tadap jata tha…
Na jane Q uski aawaz me ek dard tha ek apnapan tha…
Poochne par bhi dil ka haal na batata tha……

Paraai ho chuki thi main ek dard sa seene me tha…
Apne jaanu ke bina nahi koi maza ab jeene me tha…
Poocha jo us fakir se kya karu bataiye…
Q main use bhoolti nahi muje is gunaah se bachaiye…
Dekha jo meri taraf uski aakho me aasoo aa gaye…
Shayed meri tarah usko bhi mehboob ka gam satata tha…
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha….

Ek roz mere ghar yeh paigaam aaya tha…
Logho ne mujhko mere mehboob ke janaze me bulaya tha…
Yeh aarzoo thi uski main maujood rahu waha par…
Kehne walo ne kaha mera hi naam tha aakhri waqt bhi uske labo par…
Kis muh se main uska aakhri deedar karugi…
Woh jee raha hain yeh soch kar main khush thi…
Ab kis dilase par main zinda rahugi…
Har chehre pe udasi har aakh me aasoo ka samandar tha…
Yeh aalam mere liye mano Qayamat ka manzar tha…
Har shaks waha khamosh tha koi kuch na batata tha…..
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha….

Uski behno ne mujhe dekhkar, rote hue kaha…
Aap thodi der bhetiye Bhai hain naha raha…
Unki batein sunkar mano main cheekhne lagi…
Diya khuda ka wasta aur poocha yeh kaise hua kuch to bataogi…
Kehne lagi behan, Aap kuch na poochiye humse…
Phirte the deewana waar na jane kin kin galiyon me…
Pooch lo is bagh se, dhoondha tha aapko na jane kin kin kaliyo me…
Kabhi pagal to kabhi majnu yeh zamana unhe bulata tha…
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha……

Jab ho chuka nehlana aakhri deedar ke liye unhe laya gaya…
Farsh ki chataiee pe jis dam unhe litaya gaya…
Maa ne kaha beshak mere bachche ko le jaiye…
Par ek baar mere lal ka chehra dikhaiye…
Bade armaan the main isko apne hatho se sajaoogi…
Mere chand ke liye chand si dulhan laoogi…
Mere lal tujhse mera aagan jagmata tha…..
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha….

Jab kafan ko uske chehre rukhsaar se hatane lage sabhi..
Yeh armaan mere dil me bhi tha dekhu bas ek baar woh masoom chehra..
Jab hat chuka kafan aur unka deedar ho gaya…
Yeh kya khata maine ki yah kya mujse aaj parvar_digaar ho gaya…
Gam ki chader odhe tum mere ghar aate the main jan na saki…
Woh fakir tum hi the main pehchaan na saki…
Q kiya tumne aisa khud ko dete rahe saza…
Ek baar to pukara hota, main to tumhari thi sada…
Aaj meri samajh me aaya, q tumhari aakho me aasoo chalak aata tha…
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha……

Jab ho chuki vidai aur meri duniya loot gayee…
Jo aas dil me thi woh aas bhi toot gayee…
Rukhsati ke liye uthi aur kiya behno ko salam…
Ek behan ne rote hue kaha, yeh aakhri khat hain bhai ka aapke naam….

Khat me likha tha usne ke tum muje ab jaan jaogi…
Mere chehre ko dekhkar woh fakir main hi tha yeh pehchaan jaogi…
Na jane kitne dino tak main tumhe dhoondta raha..
Aaya taras khuda ko tumhara ghar mila…
Khush tha main apni zindagi se nahi tha ab koi gila…
Woh na mile gam nahi deedar-e-yaar to mila…
Par ek roz mujhpe jo beeti nahi sun payega jaha…
Tumne meri yado ko mujhse hi kaha “gunaah”…
Mujhko bhoolne ke liye tumne mangi meri madad, Ya khuda…
main apne dil ko kaise sambhalta.. Koi khwaish na ab tak tumhari tali thi yeh baat kaise taalta…

Isiliye aaj main tumhari khwaish poori kar raha hu…
Duniya murdo ko bhool jati hain yeh sochkar main bhi mar raha hu…
Par ho sake to tum meri yeh aarzoo poori karna…
Jab kabhi bhoole se yaad aa jaoo to un yado ko gunaah na samajhna…
Us din se har raat jab maine aasman me dekha…
Woh banke taara jagh_magata tha…
ab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha……

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *