Nirankari PoemsPoems

Tumne kaha tha hum ek hi hain, to apne barabar kar do na

“Tumne kaha tha hum ek hi hain, to apne barabar kar do na
Nappy jab main badalti hun, tum dudh ki bottle bhar do na

Bus yu hi ek hain ek hain karke kaha zindagi chalti hai
Kabhi tum bhi sar daba do mera, ye bhi kami akharti hai

Jab main bhi office jaati hun, tum bhi ghar ko sawar do na
Tumne kaha tha hum ek hi hain, to apne barabar kar do na

Mat karo vaade janmo ke, iss pal khushi ki wajah do na
Kabhi baazaron se dhyaan hate, to makaan ko ghar bhi kar do na

Aayo pass baitho, kuch baaten kare, kabhi dil ke zakham bhi
bhar do na
Kyunn kehna bhi padta hai yeh, tum ehsaaso ko samjho na
Tumne kaha tha hum ek hi hain, to apne barabar kar do na

Tum cricket bhi apni dekho, aur main serial bhi apna lagaungi
Thoda haath bata dena, main jab kitchen mein jaungi

Sab milkar saath karne ki hum-me ye bhi to quality hai
Hum saath khade hain ek duje ke, hul hi gender equality hai

Tum bhi na aise ho jao ab, aur nai si mujhe umar do na
Tumne kaha tha hum ek hi hain, to apne barabar kar do na

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *